Golu aur Ghar me aya naya cooler

Jatin Gour
2 min readJun 2, 2022

--

Pata hai garmiyo me sabse jyada kya important hota hai? Sahi kaha aapne, Cooler. Vese to hamare Udaipur shahar me itni garmi nahi padti par fir bhi cooler to ghar me chahiye hi chahiye. Har saal ki parampara hai, pehle hum Cooler ko bakhare wale room se le kar aate hai, nayi ghaas lagate hai, phir uski motor thik karate hai. Pehle Papa khud thik karte hai unse nahi hota to phir mechanic ko bulate hai aur fir ye sab hone ke baad nila color karte hai.

Sunday ka din aur Papa subah se Coolor ki safai me lage hai. Is saal to lagbhag Cooler ne dum tod hi diya hai. Papa fir bhi apni koshish me lage hai ki kese bhi motor chal jae. Mummy aur sabhi Papa ko naye Cooler ke liye bol rahe the. 17th time try karne ke baad Papa ko bhi lag gaya ke Cooler ki motor ne dum tod diya, vese wo thik bhi ho jata to bhi itni tez hawa nahi aati. Usse tez hawa to Tauji ka naya Usha ka table fan de deta hai. Papa ne motor laga kar switch on kiya aur Coolor chal gaya par Cooler me se ajib si awaaz aayi aur uska ek gate nikal gaya aur Cooler band ho gaya.

Papa ne naya Cooler lene ka man bana liya. Is bar to naya Cooler aana hi tha kyu ki jab meri aankh ka baal gira tha to mene naye Cooler ki hi wish maangi thi. Hum log dukaan par gaye Cooler dekhne gaye. Prakash uncle ne bataya ki ye lakdi wala naya Cooler hai, AC ki tarah kaam karta hai lekin Papa ne mana kar diya, shayad Prakash uncle ne AC ka naam le liya aur Papa ko laga ki iska bill bhi jyada hoga. “Wo neela wala lohe ka Cooler hi de do”, Papa ne kaha.

Hum sab ghar ke bahar khade ho kar Cooler ka wait kar rahe the, aisa lag raha tha ki shaadi me kisi baraat ka wait kar rahe ho, ye sari achi chizo ke liye wait kyu karna padta hai? Cooler aate hi mummy ne uski pooja ki aur Cooler me paani bhara aur hum dono Cooler ke aage muh laga kar beth gaye, sirf kuch hi seconds me Cooler ki thandi hawa aane wali thi. Papa ne switch on kiya Cooler start hua aur Chotu Cooler ke samne muh rakh kar bolne laga, uski aawaz robot jesi aa rahi thi. Maine aankh band kar ke betha tha Cooler ke samne aur Cooler band ho gaya. “Are yaar, lights chali gayi”

TO BE CONTINUED…

--

--

Jatin Gour
Jatin Gour

No responses yet